Thursday, November 11, 2010

Bhuli bisri yadein

Dedicated to all my college buddies:)

Gonna miss u all :(

dis tym blog in th form of poem...!!!1
Dis epic is all about my feelings on my going to end college life ..dis is all about my beloved friends who hav made my college days A bst part of my life

Dis is all abt my 2 of best buddies without thm now I cant imagine my living

So here is my first poem( publically)

Share ur emotions also..:)







Safar ye teen sal ka suhana raha, kabhi ruthna manana toh kabhi rona hsana raha.

Socha na tha zindagi itne yadgar pal dikhayegi, in khubsurat palo k liye toh zindagi ka hum par karz rha.

Har lamhe ko tumne aisa bnaya , ki jeene ka mza douguna aaya.

dosti kya hoti h kitabo me pdha tha, par tumne har akshar ko sach kar dikhaya.

Shabhd kam pdte the bhavnao ko vyakt krnr k liye, par tumne un tute fute alfazo ko bhi shai thraya.

Mana nalayki me frst prize dilwaya. Par tum yaro k liye to wo bhi gold medal se kam nzar nhi aaya.

Masti me hamesa avval bnaya, par pdahi me bhi aage bdhne ko uksaya.

Srasparlr wale uncle ho ya principal ka room . tumne apni krtuto se sabko visit krwaya.

Class bunk marna sikhaya, or jab photos ki bat aayi toh poora college chan maraya.

Kam aise-2 kiye jinki kalpna bhi na ki , par in kamo me bhi award dilwaya.

Vikhyat nhi kukhyat hi sahi, par jo v h sabme sabka favrte bnwaya.

Ghumna phirna ho ya khana peena ,tum nalayko ne sab kam krwaya.

Gt ki galiyan ho ya cp ki seediyan, tum dosto ne har kona ghumaya

Wo bsnl ka office ho ya vidhansabha ki library, tum yaro ne hi har sapne ko sach krwaya.

c-scheme ho ya civil lines, ya sfs ho ya prtap nagar, tumne hi sara jaipur ghumaya.

College ki yadein aise banyai ,sach me khoya hua bchapan wapas lautaya.

Wo masti bhre pal yun bikhar jayenge socha na tha , jab maine un palo ko mutthi me kaid kr aankho me sajaya.

Aaj dil me kasak h tumse door jane ki, par yado k har jhronkhe me bas tumhara hi chera nzar aaya.

Ab na ye masti hogi, na ye mja hoga, tum yaro ke bina har celebrtn bemana hoga.

Aarzu h ye sath kabhi na chutega, tumne is kosish ko bhi agr aazamana chahya.

Ye sab likhne ka man to tha , par indirectly tum***** ne hi bhdkaya:P

Par jo b h tumhari wajah se hi meri bhavnao ne aaj nya roop paya.:)

No comments:

Post a Comment